Saturday, January 8, 2011

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta
Kahin zameen nahi to kahin aasman nahi milta

Bujha Saka Hain Bhala Kaun Waqt Ke Shole
Ye Aisi Aag Hain Jisme Dhuan Nahin Milta

Tere intezaar mein aesa nahi ki lutf na ho
Intezar karen hum aesa lamha nahi milta

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta

Tere jahan mein aesa nahi ki pyar na ho
Jahan umeed ho uski, wahan nahi milta

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta
Kahin zameen nahi to kahin aasman nahi milta

Jise Bhi Dekhiye Vo Apne Aap Mein Gum Hain
Zubah Mili Hain Magar Humzubah Nahin Milta

Teri duniya mein aesa nahi ki hazaar raste na ho
Jo rasta manzil ko le jaye wo nahi milta

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta

Khuli ankhon se sapne dekhne ka jurm na ho
Har baar wo jurm ho to uski saza se panah nahi milti

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta

Ab tanhai mein na chal pane ka khauf na ho
Jab zindagi ko tanhai ka saath mile to kisi aur ka saath nahi milta

Kabhi kisiko mukkamal jahan nahi milta
Kahin zameen nahi to kahin aasman nahi milta

6 comments:

Nadir said...

Who is the writer of this poetry??

Harnoor Channi-Tiwary said...

Nida Fazli

harsh said...

nida fazli the only one to compare wid mirza galib............

Ayushi Thapliyal said...

I had heard Anil Ambani saying this in one of his interviews. But it was just the first four lines. Loved the entire composition. Thanks for posting it here.

Harnoor Channi-Tiwary said...

Its beautiful isn't it...

Anonymous said...

Cool

Popular Posts